SHAAM KA BAZAR ABID-E-BIMAR LYRICS | Nazim Hussain
Paon me bedi touqe girabar,
SHAM KA BAZAR ABID-E-BIMAR...
Bhulega na woh manzar, Neze pe sare Sarwar,
Bemaqnao be chadar, Balwe me phuphi madar,
Aur majma-e-kuffar Abide bimar...
SHAM KA BAZAR ABID-E-BIMAR...
Darbar me sar uriyan,Aate hai haram giryan,
Uthne laga ek tufan,Mehshar ka meher taban,
Jumbish me hai darbar Abide bimar...
SHAM KA BAZAR ABID-E-BIMAR...
Boh aayi toh ghabra kar,Bachi ne kaha rokar,
Is tasht mein hai jo sar, Woh toh hai sare Sarwar,
Kaise karun deedar Abide bimar...
SHAM KA BAZAR ABID-E-BIMAR...
Hakim ne yeh sun paya,Toh aur sitam dhaya,
Sar posh ko sarkaya, Aur bachi ko dikhlaya,
Chillayi woh ek bar Abide bimar...
SHAM KA BAZAR ABID-E-BIMAR...
Duqtar ki sada sunkar, Fir tashte tila se sar,
Goodi me gaya udhkar, Naadan ne liptakar,
Sar par rakhe ruksaar Abide bimar...
SHAM KA BAZAR ABID-E-BIMAR...
SHAAM KA BAZAR ABID-E-BIMAR LYRICS | Nazim Hussain
Reviewed by Nohayonline.lyrics
on
2:28 PM
Rating:
No comments: