Lyrics - Jaise Khwaja Ne Kaha - Ameer Hasan Amir - Muharram 1442 - 2020

 

Lyrics - Jaise Khwaja Ne Kaha - Ameer Hasan Amir - Muharram 1442 - 2020

Alal elan kaho sare maidan kaho
Hai Hussain ibne ali deen ki jaan kaho

Us namazi pe na ho kaise allah ko naaz
tute terror,n pe ada ki hai maqtal me namaz
Haq hai uska jo ise haq ki pehchan kaho

Alal elan kaho sare maidain kaho
Jaise khuwaja ne kaha deen panah Ast Hussain

Pehno ehram agar chumo kaabe ka gilaf
Jaake kabe me karo jab bhi kabe ka tawaf
Shukriya jane ali hajj ke dauran kaho

Alal elan kaho sare maidain kaho
Jaise khuwaja ne kaha deen panah Ast hussain...

Ambiya kehne lage dekh ke us ki taraf
Usne baqsha hai hame sar farazi ka sharaf
har shariyat ka yahi hai nigehban kaho

Alal elan kaho sare maidain kaho
Jaise khuwaja ne kaha deen panah Ast hussain

Pucho kabe se kabhi uske sajde ki chamak
Roshini phail gayi saatve arsh talak
Arsh walo,n pe bhi hai us ka Ehsaan kaho

Alal elan kaho sare maidain kaho
Jaise khuwaja ne kaha deen panah Ast hussain


Iss liye chaaro taraf dhoom Iss naam ki hai
Aaj bhi karbobala dhaal islam ki hai
Baat insaaf ki hai sab musalman kaho

Alal elan kaho sare maidain kaho
Jaise khuwaja ne kaha deen panah Ast hussain

Us ne muqtal me rakhi lafze islam ki laaj
maut se iss ne kiya chadh ke naize pe khiraaj
Ruhe islaam kaho jane quraan kaho

Alal elan kaho sare maidain kaho
Jaise khuwaja ne kaha deen panah Ast Hussain

Haq ki raho,n me fida apna ghar baar kiya
Thakke soya tha bashar usne bedar kiya
Mazhare zaat e khuda hai ye Insaan kaho

Alal elan kaho sare maidain kaho
Jaise khuwaja ne kaha deen panah Ast Hussain

Ameer akhtar ba khuda ye na hota jo kahee
Rakhta kis simt bashar apni sajde me jabee
Jaane zehra pe hai ye jaan qurbaan kaho



Lyrics - Jaise Khwaja Ne Kaha - Ameer Hasan Amir - Muharram 1442 - 2020 Lyrics - Jaise Khwaja Ne Kaha - Ameer Hasan Amir - Muharram 1442 - 2020 Reviewed by Nohayonline.lyrics on 2:54 PM Rating: 5

No comments:

All lyrics are Provided By Videos Caption and Noha Video Description. Any Problem Email Me. Powered by Blogger.