LYRICS - MAALIK YA HUSSAIN - JOAN RIZVI - Muharram 1442/2020
LYRICS - MAALIK YA HUSSAIN - JOAN RIZVI - Muharram 1442/2020 - Lyrics
Malik Ya Hussain(as)
Bich gaya farash e Aza chahaye Muharram ki fiza
Her taraf goonj rahe hai tere matam ki sada
yeh tere ghum ka hi sadqa hai Hussain Ibn Ali (as)
agayeen Fatima Zahra(sa) jo aza khana saja
sukoon e dil tera hi ghum qadam qadam tera karam
jahan jahan gaye nazar hain tere Ghaz(as) kay alam
her azadar tera Ya Hussain(as)
Da raha hai yeh sada Ya Hussain (as)
Malik Ya Hussain (as)
Malik e Karbobola Ya Hussain(as)
Yeh Azadari alamdari yeh pursa dari
her yazeedi pay hai bus khoof issi ka taari
roknay walay yeh ailaan humara sunlein
hashar tak Matam e Shabeer(as) rahay ga jaari
zulm hua sitam hua qadam humaray na rukay
haye Hussaina ki sada datay rahay chaltay rahay
kaun rokay ga Bhala Ya Hussain(as)
Hum hain Zahra(as) ki dua YA Hussain(as)
Malik Ya Hussain (as)
Malik e Karbobola Ya Hussain(as)
Mere Saansoon ki nahi koi bherosa mola
dil hai bechain sada sunlay ghareeb e Zahra(sa)
tum ko Akbar(as) ki qasam ab ho karam yeh mujh per
jeetay jee dekhlon ik baar tumhara roza
hai karbala Sukoon e man Hai karbala Junoon e man
hai yeh armaan mera Ya Hussain(as)
Jaoon main karbobala ya Hussain(as)
Malik Ya Hussain (as)
Malik e Karbobola Ya Hussain(as)
Misle Hur(as) mera muqaddar bhi jagaday Mola(as)
mere mathay pa bhi roomal sajaday Mola(as)
Aey mere Mola o Aaaqa main tere khadim hon
jaisa tu chahay mujha waisa banaday Mola(as)
Sunlay mere dil ki sada mola mujha apna bana
naam tere lab pay rahay mujh ko nahi khoof e qaza
aey zamanay ki baqa Ya Hussain
Zindagi tumpay pa fida Ya Hussain
Malik Ya Hussain (as)
Malik e Karbobola Ya Hussain(as)
Tere Khilqat pa do alam ka khuda naaz keray
ussay naraz hai rab jo tujha naraz keray
tu jissay chahay ata kerday pisar aey Mola
tere jhoolay sa jo mus ho to woh parwaz keray
fitrus o rahib na kaha jo bhi mila tujhsa mila
tu hai sakhi ibn e sakhi tere ata sabsa juda
aey dil e shair e Khuda Ya Hussain
Aey Muhammad(pbuh) ki dua ya Hussain
Malik Ya Hussain (as)
Malik e Karbobola Ya Hussain(as)
aey azadaroon sunoon farz nibhana hai tumhain
apnay bachoon ko azadar banana hai tumhain
de kay Abbas e dilawar ka alam hathoon main
aik wafa daar alam dar banana hai tumhain
chahay chalay jese hawa bujh na sakay ab yeh diya
bichta rahay farshay aza jari rahay yeh sil sila
bus rahay lab pa sada Ya Hussain(as)
Zikar hai sabsa bara Ya Hussain (as)
Malik Ya Hussain (as)
Malik e Karbobola Ya Hussain(as)
Haye Ashoor ka din kese qayamat laya
barchi Akbar ko lagi chid gaya seena uska
Qasim o Aun o Muhammad Ali Asghar na rahay
Jissay dhaaras thi woh Abbas e dilawar na raha
jab koi baqi na raha mola tu hi ran ko chala
pyasa hazaroon sa lara ghaib sa aye sada
Loot aa Rab e Wafa Ya Hussain
Tujhsa Raazi hai Khuda Ya Hussain
Jab suni tunay sada shukar e khuda kernay laga
teer barsaye gayay mara kisi na naiza
Fatima Zehra ne kis tarhan sambhala tujhko
Haye maqtal main tu jab khaak pa ghooray sa gira
shimar layeen teeg e jaga thaamay hua aagay bherha
seenay pa zaano ko rekha aur gala kaat diya
thi yeh Zahra ki Sada Ya Hussain
Kat gaya tera gala Ya Hussain
Malik Ya Hussain (as)
Malik e Karbobola Ya Hussain(as)
Her azadar ka tujhsa hi bheram hai Mola
tere matam k sabab seenay main dam hai mola
tere aashiq tere nokar hain tere zakir hain
Joan e Zeeshan pa tera yeh karam hai Mola
Asash e aza behtay rahain ghum main tere jeetay rehain
haye Hussaina ki sada datay rahay rotay rahain
Kya muqaddar hai mere ya Hussain
Lab pa Noha hai tera ya Hussain
Malik Ya Hussain (as)
Malik e Karbobola Ya Hussain(as)
No comments: